yehi surkhi jo hy tere lab-o-rukhsar mein jaNa
Yehi rang-e-sukhan bhar de mere ash'aar mein jana
Nirali shan se aaoon ga sab hairat se dekhein ge
Libas-e-ishq pehnoon ga tere darbar mein jana
Mere dil Ki ye Kefiyat Khule tum par to kiya Kehne
TaKaluf hy hamein jazbat K izhar mein jana
Ye taariKi ghatey Kese shab-e-furqt Katy Kese
Sehar to so gai shayad tere ruKhsar mein jana
Hamari Koi qeemat ho Na ho Kya farq parta hy
Magr ham to biKein ge missr K bazar mein jana
SuNi hain shab K sanate meiN ham Ne siskiyan aksar
Abhi zinda hy wo shayad Kisi dewar mein jana.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Copy Right Poetry Loverx 2012. Powered by Blogger.
0 comments:
Post a Comment