Faqat Tere Ruswaiyon Kay Darr Say Khamosh Beithe Hain.
Agar Likhne Pe Aa-Jayen To Qalam Se Sarr-Qalam Kar De.!!
yehi surkhi jo hy tere lab-o-rukhsar mein jaNa
05:10 |
Labels:
lab-o-rukhsar,
Love Poetry,
Mohhabat Poetry,
Romantic Poetry,
Urdu Ghazal,
yehi surkhi jo hy tere lab-o-rukhsar mein jaNa
yehi surkhi jo hy tere lab-o-rukhsar mein jaNa
Yehi rang-e-sukhan bhar de mere ash'aar mein jana
Nirali shan se aaoon ga sab hairat se dekhein ge
Libas-e-ishq pehnoon ga tere darbar mein jana
Mere dil Ki ye Kefiyat Khule tum par to kiya Kehne
TaKaluf hy hamein jazbat K izhar mein jana
Ye taariKi ghatey Kese shab-e-furqt Katy Kese
Sehar to so gai shayad tere ruKhsar mein jana
Hamari Koi qeemat ho Na ho Kya farq parta hy
Magr ham to biKein ge missr K bazar mein jana
SuNi hain shab K sanate meiN ham Ne siskiyan aksar
Abhi zinda hy wo shayad Kisi dewar mein jana.

Hum Pe Guzry thay ranj Saary,
!... Hum Pe Guzry thay ranj Saary,
Jo khud Pe Guzry
To Log Smjhy..!
Jb Apni Apni Mohabbaton k
Azaab Jheely
To Log Smjhy..!
Wu Jin Darakhton ki Chaa'on Mein Se... Musaafiron ko utha diya tha..
Unhi darakhton Se agly Mosam
Jo Phal Na Utray
To Log Smjhy..!
Us aik kachi Si Umer Wali k Falsafy ko koi na smjha..
Jb Us k kamray Se Laash nikli,
khatoot Nikly
To Log Smjhy..!
Wu Gaaon ka Za'eef Dehkaa'n
Sarrak k ban'ny Pe kyun khafa tha..?
Jb Us k bachy Jo Shehr Ja kr,
Kbi na Loaty
To Log Smjhy....!!
Hm pe guzry thy ranj sary.,
jo khud pe guzry
To log smjhy..!

Subscribe to:
Posts (Atom)
Copy Right Poetry Loverx 2012. Powered by Blogger.