RSS

Ya Rab! ye dil ka rog ajeeb-o-ghareeb tha



Ya Rab! ye dil ka rog ajeeb-o-ghareeb tha
Utna wo door lagta tha, jitna qareeb tha
Afsos tairi jeet tere rukh pe na mili
Mana ke haar jana to apna naseeb tha

Har aarzoo ki raah maiN pindaar a gaya
Har baar apna aap hi apna raqeeb tha

Anjaam-e-aarzoo tha faqat wehshatoN ka raaj
Ye zindagi thi ya koyee saya muheeb tha

Majboor kaash yooN na koyee ho ana ke haath
Dushman tha wo nazar ka jo dil ka habeeb tha

Mar kar bhi apna aap na manwa sakay Saraab
Mansoor ko bhi aaj hi chaRhna saleeb tha

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment

Copy Right Poetry Loverx 2012. Powered by Blogger.