Ussey apni farda ki ,fikr thi wo jo "meraa" waakif-e-haal tha,
Wo jo us ki subh-e-urooj thi wahi meraa waqt-e-zawaal tha.!
Mera dard kaisey wo "jaanta" meri baat kaissey wo "maantaa,
Wo to khud fana k safar me tha usey roukna bhi muhaal thaa.!
Kahan jao gey ,,chour,, ker me yeh poch poch kay thak gaya,
Wo jawab mujh ko na dy saka wo to khud sarpe-e-sawaal tha,!
Wo jo uss kay saamney aa gaya wahi roushni mein naha gaya,
Ajab haibat-e-hussan ,,,thi,,, ajab uss kaa rang-e-jamaal thaa,!
Dam-e-waapsi ussey kia hua na woo roushni, na woo taazgee,
Wo sitaara kaisey bikhar gaya wo tou khud aap apni misal tha.!
Wo milaa to sadiyoun ky baad bhi mere lab py koi gilaa na tha,
Ussey meri chup ney rula diya jissey guftugo mein kamaal tha.!
Meray saath lag kr wo rou diya Mujhey wo itna keh saka,
Jissey jaanta tha mein zindage wo tou sirf wehm-o-khayaal tha.!!

0 comments:
Post a Comment