jaisay mehtab ko bay antt samandar chahay !!
jaisay sooraj ki kiran seep k DIL main utray
jaisay khushboo ko hawa rang say hat ker chahaay
jaisay pathar k kalaijay say kiran pothtee hay
jaisay gunchay khulay musam say hina mangtay hain
jaisay khabou'n main khayalou'n ki kama'n toot tee hay
jaisay barish ki DUA aabla paa mangtay hain !!
maira har khab mairay sach ki gawahi day ga
wusat_e_deed nay tujh say tairee khahish ki hay
mairee sochoun main kabhi daikh sarapa apna !
main nay duniya say alag tairee parastish ki hay
khahish_e_deed ka musam kabhi dundhla jo hua
nooch dali hain zamanoun ki naqabain main nay
tairee palkoun pay utartee hoie subhoun k liye
tood dali hain sitaroun ki tanabain main nay !
Main nay chaha tairay husn ki gulzar fiza !
mairee ghazloun ki qataroun say dakhaktee jaye
main nay chaha k mairay fan k gulsita'n ki bahar
tairee aankhoun k gulaboun say mahaktee jaye
tay to ye tha k sajata rahay lafzoun k kanwal
mairay khamosh khayaloun main takalum taira
raqs kerta rahay bherta rahay khushboo ka khumar
mairee khahish k jazeeroun main tabasum taira
tu magar ajnabi mahool ki perwerda kiran !!
mairee bhujhtee hoie ratoun ko sehar kar na saki
tairee sansoun main maseehaie thee lekin tu bhi
chara_e_zakhm_e_deeda_e_tar kar na saki !!
tujh ko ahsas hi kab hay k kisi dard ka dagh
Aankh say dil main utar jaye to kiya hota hay ?
tu k seemab tabiyat hay tujhay kiya maloom ??
musam_e_hijr tahar jaye to kiya hota hay ??
Tu nay uss moor pay toda hay taluq k jaha'n
daikh sakta nahin koie bhi palay ker jana'n
abb ye alam ha k aankhain jo khulai'n ge apnee
yaad aye ga tairee deed ka manzar jana'n !!!
mujh say mangay ga tairay ahed_e_muhubat ka hisab
tairay hijra'n ka dahkta hua mahshar jana'n
yooun mairay dil k barabar taira gham aya hay
k jaisay shheshay k muqabil pathar jana'n !!
jaisay mahtab ko bay antt samandar chahay
main nay iss toor say chaha tujhay aksar jana'n
0 comments:
Post a Comment